hawa se kaise kahun kya mila bujhane se main thak gaya hun diye par diya jalane se use pukar mere dil ki jis ne pichhle baras kiya tha tark-e-talluq kisi bahane se to soch khud ki jo tarkash pe aan baitha hai wo bach sakega kahan tak tere nishane se gae dinon ki rifaqat ka ye asar hai ki ab nae dinon mein bhi lagte hain hum purane se