hawas se jism ko do-chaar karne wali hawa

By dilawar-ali-aazarOctober 29, 2020
hawas se jism ko do-chaar karne wali hawa
chali hui hai gunahgar karne wali hawa
yahin kahin mera lashkar padaw dalega
yahin kahin hai giraftar karne wali hawa


tamam sina-sipar ped jhukne wale hain
hawa hai aur nigun-sar karne wali hawa
pade hue hain yahan ab jo sar-burida charagh
guzishta raat thi yalghaar karne wali hawa


hamari khak udati phire hai shahr-ba-shahr
hamari ruh ka inkar karne wali hawa
usi kharabe mein rahne ki than baithi hai
badan ka dasht nahin par karne wali hawa


na jaane kaun taraf le ke chal pade 'azar'
dhuen se mujh ko numudar karne wali hawa
23006 viewsghazalEnglish