haya ke mare wo wasl ke pal nazar ka parda gira rahi hai

By nilesh-noorOctober 25, 2023
haya ke mare wo wasl ke pal nazar ka parda gira rahi hai
agarche galon ki surkh rangat har ek khwahish jata rahi hai
zara hadon se nikal ke aage marod di jab kalai us ki
laga ki jaise wo kasmasa kar qarib apne bula rahi hai


ye hasraton ke bhadakte sho'le lage ki duniya machal uthi ho
ukhadti sanson ki dhonkni ab lawen diyon ki bujha rahi hai
ye mogre ke mahakte gajre mahak raha hai kabhi pasina
lagi mahakne hayat sari mahak mahak mein sama rahi hai


kabhi wo mehman rahi hai meri kabhi wo karti hai mezbani
kabhi wo hoti hai odhni si kabhi wo khud ko bichha rahi hai
ghataen barsi kinare tute chuni hain rahen nadi ne apni
wo ek samundar se mil ke apni tamam hasti mita rahi hai


52318 viewsghazalEnglish