hayat apni sanwarun khuli kitab karun irada ye hai tujhe sahab-e-nisab karun tamam umr isi aarzu mein guzri hai tere mizaj ko parkhun koi khitab karun rahun zamin par azaem hain aasmanon ke main chahti hun charaghon ko mahtab karun tu apne aap ko aaina sa bana pahle wagarna kaise bhala khud ko be-hijab karun alag ye baat ki 'zaryab' hun sawalon mein agar main zid pe utar jaun la-jawab karun