hayat-o-maut ke parde uTha diye jaen
By kanwal-pradeep-mahajanFebruary 27, 2024
hayat-o-maut ke parde utha diye jaen
ki ab nuqush-e-haqiqat dikha diye jaen
tamam raat mere sath jale hain tanha
sahar qarib hai dipak bujha diye jaen
hamare daur mein hukkaam ki ye sazish hai
ki kham ninw pe aiwan bana diye jaen
zara si der ki khushiyon ne un ko lut liya
udasiyon ke nagar phir basa diye jaen
khulus-o-dosti bite dinon ki baaten hain
ki taq par ye guhar ab saja diye jaen
koi jawab hi jin ka na ban pade tum se
jo wo sawal hi ab ke utha diye jaen
jo hum chale hain nae naqsh ab karen paida
tamam naqsh-e-kaf-e-pa mita diye jaen
nae hain taur tariqe nizam-e-nau hai kanwal
purane daur ke qisse bhula diye jaen

38458 viewsghazal • English