hazar bandish-e-auqat se nikalta hai ye din nahin jo meri raat se nikalta hai wo raushni mein bhi hota nahin kahin maujud jo rang mah-e-mulaqat se nikalta hai mujhe bahut hai jo khushbu ka ek jhonka sa kabhi kabhi tere baghat se nikalta hai isi nawah mein aabaad hun kahin main bhi dhuan jo mere mazafat se nikalta hai dil aur tarha ke haalat se ulajhta hua kuchh aur tarha ke haalat se nikalta hai subut sara hamare khilaf bhi ab to hamare apne bayanat se nikalta hai jo chaaron samt girani ki hai farawani to qahat bhi isi buhtat se nikalta hai wo lahn jis ka sarokar hi nahin mujh se kabhi to wo bhi meri zat se nikalta hai 'zafar' ye bais-e-tashwish bhi hai sab ke liye jo matlab aur meri baat se nikalta hai