hazar ki aakhiri had ka azab hona pada hamein bhi maslahatan bazyab hona pada tere hawas pe tari tha ab bichhad jaana main hosh mein thi magar nim-khwab hona pada hamein koi to sune ek aarzu mein faqat kisi ke hath mein khele rabab hona pada teri kitab ka har lafz jis ka chehra tha ye kya sitam ki use sirf bab hona pada tu shah tha hi nahin faqr tera pesha tha ho khair teri tujhe kyon kharab hona pada