hazar koshish ka hai natija ki bebasi ko samajh gaya hun

By hasan-jafariMay 6, 2022
hazar koshish ka hai natija ki bebasi ko samajh gaya hun
main khud ko barbaad kar raha hun teri khushi ko samajh gaya hun
meri nazar ke mushahide mein awam ki sarfaroshiyan hain
main qaisaran-e-jahan ke asbab-e-qaisari ko samajh gaya hun


amal se mahrum ye taqaze faqat nazariye faqat irade
ye zindagi zindagi nahin hai main zindagi ko samajh gaya hun
ai mere ma'budiyat ke dawe pe lakh fatwe lagane walo
mera koi jurm hai to ye hai main bandagi ko samajh gaya hun


rifaqat-e-hur ki hawas mein buton ki tauhin kar raha hai
janab-e-waiz main is khuda ke khushamadi ko samajh gaya hun
farogh-e-tahzib-o-irtiqa ki bulandiyan hain meri nazar mein
khuda ki azmat se munharif hun main aadmi ko samajh gaya hun


mujhe yaqin hai na ho sakega ye qafila kaamyab manzil
main rahbaron ke haqiqi jazbaat-e-rahbari ko samajh gaya hun
53585 viewsghazalEnglish