hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain

By aziz-hamid-madniOctober 28, 2020
hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain
hum ek halqa-e-wahshat-asar mein hote hain
kabhi kabhi nigah-e-ashna ke afsane
usi hadis-e-sar-e-rahguzar mein hote hain


wahi hain aaj bhi us jism-e-naznin ke khutut
jo shakh-e-gul mein jo mauj-e-guhar mein hote hain
khula ye dil pe ki tamir-e-baam-o-dar hai fareb
bagule qalib-e-diwar-o-dar mein hote hain


guzar raha hai tu aankhen chura ke yun na guzar
ghalat-bayan bhi bahut rah-guzar mein hote hain
qafas wahi hai jahan ranj-e-nau-ba-nau ai dost
nigah-dari ehsas par mein hote hain


sirisht-e-gul hi mein pinhan hain sare naqsh-o-nigar
hunar yahi to kaf-e-kuza-gar mein hote hain
tilism-e-khwab-e-zulekha o dam-e-barda-farosh
hazar tarah ke qisse safar mein hote hain


96557 viewsghazalEnglish