hazaron lakhon dilli mein makan hain magar pahchanne wale kahan hain kahin par silsila hai kothiyon ka kahin girte khandar hain naliyan hain kahin hansti chamakti suraten hain kahin mitti hui parchhaiyan hain kahin aawaz ke parde pade hain kahin chup mein kai sargoshiyan hain qutub-sahib khade hain sar jhukae qile par gidh bahut hi shadman hain are ye kaun si sadken hain bhai yahan to ladkiyan hi ladkiyan hain likha milta hai diwaron pe ab bhi to kya ab bhi wahi bimariyan hain hawalon par hawale de rahe hain ye sahab to kitabon ki dukan hain mere aage mujhi ko koste hain magar kya kijiye ahl-e-zaban hain dikhaya ek hi dilli ne kya kya bura ho ab to do do dilliyan hain yahan bhi dost mil jate hain 'alwi' yahan bhi doston mein talkhiyan hain