hazaron sal chalne ki saza hai bata ai waqt tera jurm kya hai ujala kaam par hai pau phate se andhera chain se soya hua hai hawa se lad rahe bujhte diye ne hamara zehn raushan kar diya hai wo suraj ke gharane se hai lekin falak se chandni barsa raha hai badan par raushni odhi hai sab ne andhera ruh tak phaila hua hai suna hai aur ek bhuka bhikari khuda ka nam lete mar gaya hai wahi hum hain nai shaklon mein 'anjum' wahi sadiyon purana rasta hai