hazaron uljhanen hai is dil-e-KHuddar ke aage

By raj-kumar-kori-razFebruary 23, 2021
hazaron uljhanen hai is dil-e-khuddar ke aage
magar ye haar jata hai tere israr ke aage
teri zulfon ke aage ye ghataen hath malti hain
gulon ke rang phike hain tere rukhsar ke aage


mohabbat ka karun izhaar lekin soch lun pahle
kahunga kya achanak main tere inkar ke aage
hawaen hain mukhalif par rakhi hai tham kar hum ne
hamari zindagi qurban is dastar ke aage


baja hoga tera dawa abhi se man ke hum bhi
bata kya fatiha padhne lagen bimar ke aage
diye ko jab kabhi suraj banaya ja nahin sakta
kahani hauslon ki kyun padhen lachaar ke aage


zamane sun teri ye phislanen chalne nahin detin
kahin bhi hum nahin tikte teri raftar ke aage
17491 viewsghazalEnglish