hijr-e-jaanan se rihai ka qarina ho gaya

hijr-e-jaanan se rihai ka qarina ho gaya
sahl marna ho gaya dushwar jina ho gaya

jo pari-paikar nazar aaya wo hai zar ka mutia
har diram goya sulaiman ka nagina ho gaya

kyon na ho aisa uruj-e-nashsha-e-mai saqiya
ta falak mauj-e-hawa ka kya hi zina ho gaya

wadi-e-dil hai tajalli-gah-e-jaanan raat-din
in dinon sina hamara tur-e-sina ho gaya

sal bhar se mushaf-e-ru-e-sanam dekha nahin
wo rajab kya is rajab ka bhi mahina ho gaya

yar ki shamshir-e-abru is qadar hai aab-dar
tegh par khajlat se har jauhar pasina ho gaya

kaun hai us mah ka jo garm-e-nazzara nahin
chashma-e-khurshid bhi ab chashm-e-bina ho gaya

khak hai ab aab hi fasl-e-bahaari mein sharab
shisha-e-saat bhi mah ka aabgina ho gaya

gad gae gulbun zamin mein dekh kar bauna sa qad
tha kaf-e-gul mein jo zar goya dafina ho gaya

jis tarah madum hote hain sitare subh dam
ahd-e-piri mein mera khali khazina ho gaya

partaw-e-jaanan hai mere kalbud mein ja-e-ruh
aaine ki pusht goya apna sina ho gaya

rang-e-pan se sabz sona ban gae kundan se gal
mubtazal tashbih hai sone pe mina ho gaya

furqat-e-saqi mein aise ban gae hum parsa
mahw khatir se khayal-e-jam-o-mina ho gaya

hai tasawwur mein jo mahbub-e-ilahi raat-din
kaba-e-dil saf ai 'nasikh' madina ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close