hijr hijrat se siwa ho gaya ghar aate hi main to khud se bhi juda ho gaya ghar aate hi aise soe hain ki marta bhi na hoga koi jagte rahna bala ho gaya ghar aate hi main gunahgar-e-safar tha mujhe kya nind aati main to masruf-e-dua ho gaya ghar aate hi main ne socha tha ki ghar ja ke mana lunga use dil to kuchh aur khafa ho gaya ghar aate hi ek dastak ka bada qarz tha mujh par 'asim' aur wo qarz ada ho gaya ghar aate hi