hijr ki rut ka taraf-dar bhi ho sakta hai
By mubashshir-saeedFebruary 27, 2024
hijr ki rut ka taraf-dar bhi ho sakta hai
dil khasare se samar-bar bhi ho sakta hai
kya zaruri hai faqat dasht mein wahshat ho miyan
ye tamasha sar-e-bazar bhi ho sakta hai
dukh parindon ki tarah shor macha sakte hain
hijr pedon pe numudar bhi ho sakta hai
meri har raat ko firdaus banane wale
dil tere khwab se bedar bhi ho sakta hai
ye zaruri to nahin samne khul kar aae
mera dushman pas-e-diwar bhi ho sakta hai

23927 viewsghazal • English