hijr mein koi aashna na hua
By mahmood-abdul-qadeerJanuary 18, 2022
hijr mein koi aashna na hua
gham magar chhod kar juda na hua
aaina bhi ye un se kahta hai
aap sa koi dusra na hua
wae qismat wo dekhne aae
aur dard aaj hi siwa na hua
hae kab ghir ke aae hain baadal
jab ki qismat mein mai-kada na hua
gham ka aadi bana diya mujh ko
kya ye ehsan aap ka na hua
har-nafas par charagh raushan hai
ye mera dil bhi kimiya na hua
hazrat-e-ishq ki dua hai 'qadir'
main khuda se kabhi juda na hua
gham magar chhod kar juda na hua
aaina bhi ye un se kahta hai
aap sa koi dusra na hua
wae qismat wo dekhne aae
aur dard aaj hi siwa na hua
hae kab ghir ke aae hain baadal
jab ki qismat mein mai-kada na hua
gham ka aadi bana diya mujh ko
kya ye ehsan aap ka na hua
har-nafas par charagh raushan hai
ye mera dil bhi kimiya na hua
hazrat-e-ishq ki dua hai 'qadir'
main khuda se kabhi juda na hua
36654 viewsghazal • English