hijr-o-visal ke nae manzar bhi aaenge

hijr-o-visal ke nae manzar bhi aaenge
aabaadiyon mein aae to phir ghar bhi aaenge

aasan nahin hai utni talash-e-jahan-e-nau
dhundoge gar jazire samundar bhi aaenge

ai waqt dar hai tere khudaon ko bas yahi
be-nang-o-nam hain jo barabar bhi aaenge

duniya isi ka nam hai har samt hi yahan
ban kar yaqin guman ke mehwar bhi aaenge

ai chashm-e-iltifat ye footpath ye sadak
hain muntazir ki in pe qalandar bhi aaenge

maujon se ladne dijiye kuchh der waqt ki
jin mein hai hausla wo ubhar kar bhi aaenge

hain naqsh-e-pa jahan jahan insan ke, dekhna
qadmon mein aadmi ke wo ambar bhi aaenge

mayus yun na bahr-e-adab ho, tu sabr kar
tujh ko ubur karne shanawar bhi aaenge

nakaam si rifaqaten le kar kabhi yahan
dasht-e-wafa ki sair ko dilbar bhi aaenge

aajiz ho aql dekh ke sannai jin ki wo
husn-e-jahan ke nit-nae paikar bhi aaenge

tere liye jo wahm hai un ke liye yaqin
akasr yahan guman ke mehwar bhi aaenge

badla hua mizaj hai is bar waqt ka
lahron ki zad mein ab ke shanawar bhi aaenge

baaton se phul jhadte the lekin khabar na thi
ek din labon se un ke hi nashtar bhi aaenge

dhaoge tum jo mehwar-e-afkar ko to phir
ye jaan lo ki ghaib se lashkar bhi aaenge

hum wo khuda-taras hain faqiri hai jin ki shan
yunhi rahe to dar pe sikandar bhi aaenge

kab ishq ruk saka hai masaib se waqt ke
diwane khak-o-khun mein naha kar bhi aaenge

honi hai khatm un ki bhi mohlat yaqin rakho
ye waqt ke khuda tah-e-khanjar bhi aaenge

aafaq se pare hai mera mehwar-e-khayal
hai hausla to phir nae shahpar bhi aaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close