hijr-o-visal kitna aasan kar diya hai

By salim-saleemFebruary 28, 2024
hijr-o-visal kitna aasan kar diya hai
is 'ishq ne mukammal saman kar diya hai
palkon pe jo zara si bunden chamak rahi thin
daman badha ke us ne tufan kar diya hai


kuchh to hamein bhi us ne insaniyat sikha di
hum ne bhi us ko thoda shaitan kar diya hai
kaisi 'ajib chhab thi kya husn ka saman tha
us ne to aaj sab ko hairan kar diya hai


58397 viewsghazalEnglish