hijr us ka mere aasab pe yun tari tha
By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
hijr us ka mere aa'sab pe yun tari tha
ba'd marne ke bhi aankhon se lahu jari tha
itni jaldi saf-e-matam se nikal aae ho
yar tum ko to bahut zo'm-e-‘aza-dari tha
kya bataun tujhe furqat ke dinon ki haalat
mujh pe har roz qayamat ki tarah bhaari tha
hum ba-zid the ki hamein wasl ki sarshaari mile
wo magar wa'da wafa karne se inkari tha
main ne us waqt bhi tujh ko tah-e-dil se chaha
shaghl jis daur mein logon ka riya-kari tha
kis liye tere taghaful se badal jata main
masala mera mohabbat mein wafadari tha
'aql mein bhi na meri sud-o-ziyan aate the
dil to karta hi mohabbat ki taraf-dari tha
ghar bhi kab tha mere aaram-o-sukun ka ba'is
dasht bhi mere liye qarya-e-bezari tha
waqt padne pe mujhe sab ki samajh aati thi
kis qadar faiz-rasan lamha-e-dushwari tha
tutne par bhi kahan mere nishan milte the
koi is dhang se karta meri mismari tha
use mara gaya maslak ki bina par 'azwar'
jis ka paigham zamane mein rawadari tha

15754 viewsghazal • English