hikayat-e-husn-e-yar likhna hadis-e-mina-o-jam kahna abhi wahi kar-e-ashiqan hai sukut-e-gham ka kalam kahna ufuq taghayyur ki tez lau se pighal raha hai badal raha hai magar is ahwal-e-waqai ko likhen na wo mere nam kahna hazar hathon se main ne jis ko sambhaal rakkha tha zindagi mein charagh-bar-kaf bisat-e-dil par khadi hui hai wo sham kahna agar teri aastin-e-tar ko khabar nahin dastan-e-gham ki zamana unwan-e-taza-tar se suna gaya na-tamam kahna dhowen mein ek tair-e-nawa-gar ne aatish-e-gul pe jaan de di rag-e-gulu mein jali hui lai chamak gai zer-e-dam kahna hum aise jada-taraaz-e-sahra nikal hi aate hain chand aakhir sukhan ko uslub-e-zindagi ka diya hai hum ne hi nam kahna kabhi kabhi to lahak sa uthta hai barq-o-baran ki chashmakon mein kisi ada-e-visal-saman ka khanjar-e-be-niyam kahna utar gaya dil mein zahr-e-kakul nisar ek sarw-e-dil-satan ke fusun-e-chaara-gari se guzra mohabbaton ka payam kahna khayal-e-yaran-e-ku-ba-ku se nazar hai ek matam-e-nazara dam-e-harifan-e-be-subu se nafas hai be-nang-o-nam kahna abhi to kuchh log zindagi mein hazar sayon ka ek shajar hain unhin ke sayon mein qafile kuchh thahar gae be-qayam kahna khuda tujhe aafiyat ki aabaadiyon mein nauras safir rakkhe udhar ke diwar-o-dar salamat meri taraf se salam kahna