himaqaton ko mohabbat ki dastan kar len zamin ko jis ghadi chahen hum aasman kar len padha rahe hain jo bachchon ko un jawanon se ye iltija hai ki sab pan ki dukan kar len tere huzur mein kahna agar zaruri ho wo kis taraf se kahen band jo dahan kar len jo han kahen to sarapa kharab ho jae nahin kahin to hazaron ko bad-guman kar len jawan ghar mein budhape ko kyon karun bardasht thikana apna kahin aur bap man kar len rahega apne sar ilzam-e-sar-kashi 'papa' hazar jhuk ke hum apni kamar kaman kar len