hir khar-o-khas se waza nibhate rahe hain hum yun zindagi ki aag jalate rahe hain hum shiriniyon ko zahr ke damon mein bich kar naghme hayat-e-nau ke sunate rahe hain hum is ki to dad dega hamara koi raqib jab sang utha to sar bhi uthate rahe hain hum ta dil pe zakhm aur na koi naya lage apno se apna haal chhupate rahe hain hum tere liye hi raat bhar ai mahr-e-zar-nigar tarikiyon ke naz uthate rahe hain hum ab koi taza phul khila khak-e-paemal! apna lahu zamin ko pilate rahe hain hum