hisar-e-nikhat-e-gul mein sar-e-bahaar tha main

By qamar-malalFebruary 28, 2024
hisar-e-nikhat-e-gul mein sar-e-bahaar tha main
wo din bhi kya the ki ek apsara ka yar tha main
judaiyon ka sabab khul nahin saka ab tak
wo bewafa bhi na thi aur wafa-shi'ar tha main


thi ghair subh-o-masa bin tere meri haalat
malul shab se dinon se gila-guzar tha main
koi bhi azhdaha rauzan se dar nahin aaya
usi ne mujh ko dasa jis ka yar-e-ghaar tha main


wahi the jaan ke dushman bane hue mere
unhi ke chahne walon mein bhi shumar tha main
kisi ke wasl ne yakja rakha tha mera wajud
kisi ke hijr mein tuta to be-shumar tha main


ki jockey jun koi bachcha bana diya jae
'malal' tausan-e-hasti pe yun sawar tha main
11238 viewsghazalEnglish