ho bhi sakta hai par nahin hota

By shahzad-faizOctober 3, 2023
ho bhi sakta hai par nahin hota
pyar bar-e-digar nahin hota
un ki ab yaad bhi nahin aati
rail ka bhi guzar nahin hota


shab jahan ghonsla banate hain
subh ko wo shajar nahin hota
main wo budha darakht hun jis par
peng panchhi samar nahin hota


man ki maujudgi na ho jis mein
dasht hota hai ghar nahin hota
hijr mein shab tawil hoti hai
aur din mukhtasar nahin hota


58196 viewsghazalEnglish