ho jis qadar ki tujhse ai pur-jafa jafa kar

By waliullah-muhibNovember 24, 2020
ho jis qadar ki tujh se ai pur-jafa jafa kar
kahta hun main bhi tujh se ai ba-wafa wafa kar
bait-us-sanam mein ja kar hamdam ba-rabb-e-kaba
laya hun us sanam ko ghar tak khuda khuda kar


gauhar jo ashk ke hain kuchh chashm ke sadaf mein
ghaltan na khak mein kar aansu baha baha kar
marte hain hum to lekin sun teri aamad aamad
ummid ne rakha hai ab tak jala jala kar


tujh ko patang udate dekha jo aashiqon ne
kat mar ke baithe akasr ghar-war luta luta kar
sad-chaak dil ka hona har subh-dam hamara
gul se tu kah rahi hai bulbul hansa hansa kar


aata hai wo sharabi khane kabab dil ka
kahta hai jhuti baaten kya kya chaba chaba kar
saqi muaf rakkho gustakhiyan hamari
be-khud kiya nashe mein tu ne pila pila kar


bose ka likh ke nuskha yaquti-e-labon se
bimar-e-ishq tera hai be-dawa dawa kar
har subh chaak ho hai naseh mera gareban
har sham tu rakhe hai nahaq sila sila kar


aur ek ghazal 'muhib' kah bar-qaul 'mir'-sahib
auron se de ishaare hum se chhupa chhupa kar
48792 viewsghazalEnglish