ho jo mumkin to gaya waqt bulaun wapas

By aftab-ranjhaMay 22, 2024
ho jo mumkin to gaya waqt bulaun wapas
zindagi phir se tujhe dhund ke laun wapas
kuchh tere naqsh jo aankhon mein chhupa rakkhe the
sochta hun inhen pani mein bahaun wapas


ek hi qatl se us shakhs ne kar li tauba
ai khuda teri qasam sar ko jhukaun wapas
rog to rog hai kab tak main uthaun is ko
kya tumhein 'ahd-e-wafa yaad dilaun wapas


koi hamdam nahin sathi nahin tanhai hai
kyon na us shakhs ke phir naz uthaun wapas
wo to aae the gae jaan se khali kar ke
kya zaruri hai ki main jaan mein jaun wapas


meri taqdir ki ab wo bhi nahin hain apne
zakhm hi zakhm hain kanton pe lagaun wapas
ab yahan kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin hai 'barham'
ab tere shahr mein kis ke liye aaun wapas


94911 viewsghazalEnglish