ho kaise na hum donon ka andaz-e-bayan aur

By betab-amrohviOctober 6, 2021
ho kaise na hum donon ka andaz-e-bayan aur
hai meri zaban aur farangi ki zaban aur
chaho ki na aae jo mere lab pe fughan aur
maro na wahin chot ki hai dard-e-jahan aur


ya-rab but-e-khush-fam se apni nahin banti
de jild use aur jo de mujh ko na jaan aur
tu sab ka khuda hai to mujhe itna bata de
ye kaisi khudai hai yahan aur wahan aur


in shoalon se to jal na saka mera nasheman
ab dekhiye kya karti hai ye barq-e-tapan aur
ek ghunt pe mabni hai tere rind ki duniya
is jam mein bas itni si ai pir-e-mughan aur


shaidai hun 'ghaalib' ka mujhe kahte hain 'betab'
juz is ke nahin koi mera nam-o-nishan aur
62577 viewsghazalEnglish