ho na ho manzil safar ek muKHtasar mera bhi hai
By satpaal-khayalMarch 1, 2021
ho na ho manzil safar ek mukhtasar mera bhi hai
waqt kei suli pe latka ek sar mera bhi hai
main ki dariya kei tarah bahta nahin hun raat-din
hun to ek talab hi lekin safar mera bhi hai
ek hi mausam udasi ka hai sadiyon se jahan
dard kei in bastiyon mein ek ghar mera bhi hai
ai mere maula mujhe bas apni rahmat se nawaz
aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai
tu akela hi nahin hai fikr-e-duniya mein 'khayal'
soch ke sagar mein duba dekh sar mera bhi hai

41370 viewsghazal • English