ho raha hai kali par chaman ka guman

By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
ho raha hai kali par chaman ka guman
qabil-e-did hai ab mera gulsitan
hai mera zikr bhi aap ki dastan
aap hote rahen mujh se daman-kashan


kyon bhadakta nahin ab ye soz-e-nihan
thoda thoda sa kab tak uthega dhuan
ho raha hai mujhe raushni ka yaqin
jis qadar badh rahi hain ye tarikiyan


qaid dair-o-haram ki lagate hain kyon
ek dil bhi to hai aap ka aastan
tez hote gae aur bhi kuchh qadam
jis qadar rah mein aaen dushwariyan


aap aae bhi lekin is andaz se
badh gain aur 'maikash' ki tanhaiyan
62762 viewsghazalEnglish