ho raha hai kya jahan mein ek nazar mat dekhiye

ho raha hai kya jahan mein ek nazar mat dekhiye
pahle panne par hai jo bas wo khabar mat dekhiye

duniya ko tabdil karne ke hain is mein khwab bas
inqilabi hun mera rakht-e-safar mat dekhiye

pyar se bigde bhi hain kuchh log ye mana magar
ho dawa lazim to is ke bad-asar mat dekhiye

kya ujadta ja raha hai is pe bhi rakkhen nazar
sirf baste int patthar ke nagar mat dekhiye

dekhna hai ye ki bilkul thik ho apni disha
kitni bhi chahe ho pur-kham rahguzar mat dekhiye

sharm se mar jaoge insan hain gar aap ek
kis tarah karte hain ye muflis guzar mat dekhiye

chahe ruk jao kahin bhi tan do tambu kahin
pichhe mud mud kar kabhi 'jaanib' magar mat dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close