ho sai-e-talab ya tark-e-talab har ek mein rahe nakaam se hum

By zubair-irtazaOctober 7, 2023
ho sai-e-talab ya tark-e-talab har ek mein rahe nakaam se hum
aaram ki khatir kya na kiya mahrum rahe aaram se hum
tabinda hai jis se shahr-e-butan mausum to hain us nam se hum
phirte hain dayar-e-jaanan mein har chand bade badnam se hum


ek roz ye rasm-e-shahr-e-sanam hogi ye hamein malum na tha
wo nam khata-karon mein hai mausum hue jis nam se hum
kya haal-e-shab-e-furqat hoga kya rang-e-shab-e-hijran hoga
be-ab-o-pareshan aashufta ranjur hain phirte sham se hum


hum ahl-e-junun ab ahl-e-sitam ki saf mein gine jate hain jahan
aae the samajh kar ghar apna be-fikr the par anjam se hum
rukh aisa hawa ka kuchh palta jo hona nahin tha phir wo hua
mumkin tha jahan tak koshish ki par bach na sake ilzam se hum


kuchh kaam na aaya jazba-e-dil be-sud khulus-e-shauq 'zubair'
ummid wahan kis se rakkhen yaad aaen jahan dushnam se hum
25718 viewsghazalEnglish