ho sake to mera kaha karna apne rahbar ki mat suna karna chehre walo na ye khata karna aaine ka na samna karna dil ki dharti mein jis ne dukh boe haq mein us shakhs ke dua karna farz hai waldain ki khidmat bachcho is farz ko ada karna kahta hun saf saf ai 'shamsi' be-wafaon se kya wafa karna