ho sal-e-nau bahisht ka darpan KHuda kare

By nazeer-nadirJanuary 22, 2022
ho sal-e-nau bahisht ka darpan khuda kare
har ghar masarraton ka ho maskan khuda kare
jag utthen ab dilon mein mohabbat ke walwale
thanda ho nafraton ka ye indhan khuda kare


har shakhs har gharib ki puri murad ho
hon zindagi ke raste chandan khuda kare
ehsas aur shuur ke tannur jal uthen
jal kar hamare shahri hon kundan khuda kare


har qafile ko khair ki manzil mile sada
har ban ho us ki rah mein gulshan khuda kare
neki ke raste se hon dushwariyan bhi dur
sari buraiyon pe ho qadghan khuda kare


insaniyat ka qatl jo karte hain raat din
zindan ki tirgi mein hon dushman khuda kare
27838 viewsghazalEnglish