honTon ki hansi dard ka darman to nahin hai

By khalid-sajjadJune 30, 2021
honton ki hansi dard ka darman to nahin hai
meri hi tarah tu bhi pareshan to nahin hai
main tujh ko kabhi khud se alag kar nahin sakta
tu zid hai meri tu koi arman to nahin hai


kya jaaniye kyon dhup nikal aai achanak
jo sar pe hai wo abr-e-gurezan to nahin hai
ai mujh pe umad aae hue chand bata de
ye chandni ek raat ki mehman to nahin hai


is bar tujhe saint ke sine mein rakhunga
tu dil hai tu ashk-e-sar-e-mizhgan to nahin hai
har ishq saliqe se kiya hum ne bhi 'khalid'
majnun ki tarah chaak-gareban to nahin hai


73733 viewsghazalEnglish