honTon pe tabassum ka labaada to nahin tha

By ahmad-azeemFebruary 5, 2024
honton pe tabassum ka labaada to nahin tha
ai dil sam-e-andoh ziyaada to nahin tha
ek ranj-e-tamanna se bahut surkh thin aankhen
sad shukr-e-khuda nashsha-e-bada to nahin tha


aae the tere pas ghadi bhar ke liye hum
ta-umr thaharne ka irada to nahin tha
aasan to pahle bhi nahin thi ye rah-e-dil
mushkil bhi magar itna ye jada to nahin tha


tahrir the khwab aur tamanna ke hawale
itna waraq-e-dil koi sada to nahin tha
68989 viewsghazalEnglish