hosh jab paband-e-hasrat ho gaya nam majburi ka ulfat ho gaya jaan dena jaan-e-ishrat ho gaya dekhna un ka qayamat ho gaya ishq jab rang-e-tabiat ho gaya ishq ka chaska musibat ho gaya dekh uthti umr ki nuzhat ke sath naz taswir-e-qayamat ho gaya ibtila-e-dilbari mein aankh ki ek zamana khubsurat ho gaya but-kade ki dilkashi ke samne kaba-e-dil naqsh-e-hairat ho gaya saghar-o-baada se ho kar muhtariz hosh ka chaha akarat ho gaya barhaman rah-e-tariqat mein raha shaikh mar kar rukn-e-jannat ho gaya did ka sauda hua jab se giran sar jhukana bhi ibaadat ho gaya shad ho kar dekhte ho tum hamein yun nuzul-e-abr-e-rahmat ho gaya