hosh rakhna bade zalim hain zamane wale aag pani mein laga denge lagane wale chand danon ke liye bhul na karna hargiz kam nahin log yahan jal bichhane wale kis ka shikwa karen hum ghair to hote hi hain ghar ki angnai mein diwar uthane wale hum mohabbat mein tasanno' ke nahin hain qail shart hai dil bhi mile hath milane wale aaj tum ko jo anal-haq ka sabaq dete hain kal yahi honge tumhein dar pe lane wale