hote honge is duniya mein arsh ke dawedar buland

hote honge is duniya mein arsh ke dawedar buland
pasti ke hum rahne wale nikle aakhir-e-kar buland

ek taraf ho tum afsurda ek taraf hum aazurda
aur chaman ko banto yaro aur karo diwar buland

kab zid ki hai hum ne tum se apni unchi hasti ki
kaisi bahs taqaza kaisa tum ho hum se yar buland

le aai majburi hum ko aaj parai mahfil mein
aur tamasha dekh rahe hain ho ho kar aghyar buland

shaer aur takabbur mein kya rishta in mein nisbat kya
shahr-e-sukhan mein rakhiye apne sar ko kham mear buland

izzat-afzai hai be-shak baat muqaddar ki 'inam'
warna qudrat ne rakkhe hain phulon se bhi khar buland


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close