hoti hai tamanna tah-o-baala mere aa ge dil hai ki hua jata hai ruswa mere aage khud-bini khud-arai to hai zeb tujhi ko juz tere nahin koi bhi aisa mere aage gham aur khushi sab ko mayassar hai jahan mein chadhta hai utarta hai ye dariya mere aage shohrat ki bulandi bhi hai do pal ka tamasha kis baat pe itraati ye duniya mere aage duniya bhi tujhi se meri uqba bhi tujhi se har samt tu hi kaba kalisa mere aage pahle to sar-e-am mila karte the aur ab khalwat mein bhi kar lete hain parda mere aage kahne ka bhi aata nahin har ek ko saliqa hai ahl-e-nazar ka yahi kahna mere aage han nam to mai-khwaron mein hai mera bhi saqi auron ko ziyaada hai zara sa mere aage