hoti rahti hai KHalish dard ki aksar dil mein

By hamid-hasan-qadriJanuary 12, 2022
hoti rahti hai khalish dard ki aksar dil mein
rah gaya ho na kahin tut ke nashtar dil mein
aata rahta hai tasawwur teri mast aankhon ka
chalte rahte hain mai-e-nab ke saghar dil mein


khwab mein khub liye hum ne tasawwur ke maze
aaj mehman raha hai koi shab bhar dil mein
jo maza teri jafa mein hai kisi shai mein nahin
ghar bana lete hain ye khanjar-o-nashtar dil mein


kabhi hansta hun teri dhun mein kabhi rota hun
yas rahti hai tamanna ke barabar dil mein
gham nahin shauq nahin dard nahin kuchh bhi nahin
jhut gar jaante ho dekh lo aa kar dil mein


tu sahi aag laga dun main qayamat kar dun
dil-jale rakhte hain sarmaya-e-mahshar dil mein
ab khula raaz-e-qarib-e-rag-e-jaan ka uqda
jis ko hum dhundte phirte hain wo hai har dil mein


ye bada husn hai taswir mein us ki 'hamid'
ghar bana leti hai aankhon se utar kar dil mein
51727 viewsghazalEnglish