hua hai teri mohabbat ka hausla saqi

By akhtar-orenviOctober 24, 2020
hua hai teri mohabbat ka hausla saqi
magar garan hai qanaat ka marhala saqi
nazar nazar mein jagah dhundhta raha mai-kash
koi to jaanta rindi ka martaba saqi


bala kashan-e-dar-e-mai-kada kahan jaen
qadam qadam hai qayamat ka fasla saqi
meri hayat ka sab kuchh faza-e-mai-khana
subu-o-jam tera ek mashghala saqi


ye dasht-e-tishna-labi hai shikasta kheme hain
kahan gaya mere arman ka qafila saqi
aman se dur hai sahra-e-arzu ki tapish
hayat-e-soz-e-tamanna ka aabla saqi


hayat kya hai mohabbat hai kyun jamal hai kya
na hal hua kabhi 'akhtar' ka masala saqi
49270 viewsghazalEnglish