hua na mujhse koi ham-kalam gardish mein

By nawed-fidaa-sattiiNovember 11, 2020
hua na mujh se koi ham-kalam gardish mein
dhuan hue hain mere subh-o-sham gardish mein
khayal-o-khwab hua har zamana-e-wahshat
utar chuke hain sabhi khush-khiram gardish mein


main bhagta hun sar-e-dasht-e-karbala aur phir
izafa karte hain aa kar imam gardish mein
meri talab meri raftar ke munafi hai
main khas shakhs hun rahta hun aam gardish mein


panap raha hai kahin dil mein shauq-e-did-o-shunid
dhadak rahe hain zamane mudam gardish mein
badal badal ke kai hath hashr uthata hai
bana raha hai koi rah-e-jam gardish mein


khuda ka shukr ada karta hun main subh-o-masa
labon pe rakh ke darud-o-salam gardish mein
badalta rahta hai chalne se mai-kade ka nizam
ki chal-chalaw se rahta hai jam gardish mein


rah-e-fana pe qadam rakh ke phans na jaun kahin
laga rakha hai khudai ne dam gardish mein
ruka hua hun main ek gardishi jazire par
guzar rahe hain mere subh-o-sham gardish mein


ruke hue hain sabhi dost kyon 'fida' mere
milega un ko yaqinan dawam gardish mein
26053 viewsghazalEnglish