hua naqib-e-bahaaran abhi nahin ai dil ye rut badalne ka imkan abhi nahin ai dil firaq-e-naghma se mere hi lab malul nahin koi parinda ghazal-khwan abhi nahin ai dil abhi kuchh aur khajil ho rah-e-tamanna par tu is ke lutf ka unwan abhi nahin ai dil use bhulane mein kuchh waqt to lagega mujhe ye kaam itna bhi aasan abhi nahin ai dil tum apni sari kamanden na phenk dena kahin udhar wo chashm gurezan abhi nahin ai dil sanwar kuchh aur ki jalwa-numaiyan teri nigah-e-shauq ke shayan abhi nahin ai dil charagh-e-khwab ho raushan to koi baat bane nashat-e-dida-e-hairan abhi nahin ai dil