hue kyun us pe aashiq hum abhi se

By sheikh-ibrahim-zauqNovember 21, 2020
hue kyun us pe aashiq hum abhi se
lagaya ji ko nahaq gham abhi se
dila rabt us se rakhna kam abhi se
jata dete hain tujh ko hum abhi se


tere bimar-e-gham ke hain jo gham-khwar
barasta un pe hai matam abhi se
ghazab aaya hilen gar us ki mizhgan
saf-e-ushshaq hai barham abhi se


agarche der hai jaane mein tere
nahin par apne dam mein dam abhi se
bhigo rahwega girya jaib o daman
rahe hai aastin pur-nam abhi se


tumhaara mujh ko pas-e-abru tha
wagarna ashk jate tham abhi se
lage sisa pilane mujh ko aansu
ki ho buniyaad-e-gham mohkam abhi se


kaha jaane ko kis ne meinh khule par
ki chhaya dil pe abr-e-gham abhi se
nikalte hi dam uthwate hain mujh ko
hue be-zar yun hamdam abhi se


abhi dil par jarahat sau na do sau
dhara hai dosto marham abhi se
kiya hai wada-e-didar kis ne
ki hai mushtaq ek aalam abhi se


mara jaana mujhe ghairon ne ai 'zauq'
ki phirte hain khush-o-khurram abhi se
84105 viewsghazalEnglish