hue mujh se jis ghadi tum juda tumhein yaad ho ki na yaad ho meri har nazar thi ek iltija tumhein yaad ho ki na yaad ho wo tumhaara kahna ki jaenge agar aa sake to phir aaenge use ek zamana guzar gaya tumhein yaad ho ki na yaad ho meri be-qarariyan dekh kar mujhe tum ne di thin tasalliyan mera chehra phir bhi udas tha tumhein yaad ho ki na yaad ho meri bebasi ne zaban tak jise la ke tum ko rula diya mere tute saz ki wo sada tumhein yaad ho ki na yaad ho tumhein chand qatra-e-ashk bhi kiye pesh jis ke jawab mein wo salam nichi nigah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho mere shane par yahi zulf thi jo hai aaj mujh se khinchi khinchi mere hath mein yahi hath tha tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi hath mein jo sharab li wahin tum ne chhin ke phenk di mujhe yaad hai mere parsa tumhein yaad ho ki na yaad ho kahin tum ko jaana hua agar na gae baghair 'nazir' ke wo zamana apne 'nazir' ka tumhein yaad ho ki na yaad ho