hue the kaisi haqiqat se bad-guman hum log
By shehzad-anjum-burhaniOctober 4, 2023
hue the kaisi haqiqat se bad-guman hum log
jo har-su dekh rahe hain dhuan dhuan hum log
hamin se asl-e-bina-e-hayat thi ab tak
magar hain chashm-e-khudai mein raegan hum log
tamam hosh-o-khirad ek guman-e-la-hasil
ki soch sakte the warna kahan kahan hum log
hamein tha zo'm ke goya-e-‘asr hain lekin
kai dinon se to jaise hain be-zaban hum log
wo sarfaroshi ke jazbe bhi rakh ho gae hain
hatheliyon pe liye ghumte the jaan hum log
magar ye waqt bhi 'anjum' guzar hi jaega
palat ke aaenge ek roz kaamran hum log

67337 viewsghazal • English