hui har aankh Khaali aansuon se
By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
hui har aankh khali aansuon se
hue manus aise hadson se
mujhe tauhid ras aane lagi hai
nahin ab rabta koi buton se
qafas mein zindagi mahsus karna
koi sikhe zara in taeron se
jinhen manzil ne dhutkara tha pahle
wo ab ki bar laute raston se
koi nashsha nahin in paniyon mein
khula ye raaz aakhir mai-kashon se
khushi se sah rahe hain teri khatir
wagarna jaan jati thi ghamon se
kahani-kar ki marzi hai 'tasnim'
parinda jaega kab tak paron se
hue manus aise hadson se
mujhe tauhid ras aane lagi hai
nahin ab rabta koi buton se
qafas mein zindagi mahsus karna
koi sikhe zara in taeron se
jinhen manzil ne dhutkara tha pahle
wo ab ki bar laute raston se
koi nashsha nahin in paniyon mein
khula ye raaz aakhir mai-kashon se
khushi se sah rahe hain teri khatir
wagarna jaan jati thi ghamon se
kahani-kar ki marzi hai 'tasnim'
parinda jaega kab tak paron se
20062 viewsghazal • English