hujum-e-gham se yan tak sar-niguni mujh ko hasil hai ki tar-e-daman o tar-e-nazar mein farq mushkil hai rafu-e-zakhm se matlab hai lazzat zakhm-e-sozan ki samajhiyo mat ki pas-e-dard se diwana ghafil hai wo gul jis gulsitan mein jalwa-farmai kare 'ghaalib' chatakna ghuncha-e-gul ka sada-e-khanda-e-dil hai hua hai mane-e-ashiq-nawazi naz-e-khud-bini takalluf-bar-taraf aaina-e-tamiz hael hai ba-sail-e-ashk lakht-e-dil hai daman-gir mizhgan ka ghariq-e-bahr juya-e-khas-o-khashak-e-sahil hai baha hai yan tak ashkon mein ghubar-e-kulfat-e-khatir ki chashm-e-tar mein har ek para-e-dil pa-e-dar-gil hai nikalti hai tapish mein bismilon ki barq ki shokhi gharaz ab tak khayal-e-garmi-e-raftar qatil hai