hujum-e-ham-nafsan chaara-e-alam na hua ki is tarah gham-e-tanha-rawi to kam na hua na puchh dasht-e-talab mein mata-e-daman-e-zist ye tar tar to hota raha pa nam na hua likhi gai hain junun ki hikayaten kya kya magar wo qissa-e-gham jo kabhi raqam na hua mili na aabla-payan-e-shauq ko manzil ki faslon ki tarah hausla bhi kam na hua rah-e-talab mein hai aasuda-haal mauj-ba-jism khuda khuda hi raha aur sanam sanam na hua wo kaun hain ki hawas ras aa gai hai jinhen yahan to ishq bhi chaara-gar-e-alam na hua guman hua mujhe ehsan-e-na-shanasi ka jo khud-bakhud koi aamada-e-sitam na hua