hukm de qirtas par rangin nazara phunk dun

By ahmad-jahangirMay 24, 2024
hukm de qirtas par rangin nazara phunk dun
misra-e-tar mein sunahra istiara phunk dun
ramz ki bara-dari mein zabt wajib gar na ho
main tayaqqun se ta'ajjub ka minara phunk dun


mushtari ka taj pahne zuhl par aswar hun
gah sayyara jalaun gah tara phunk dun
han isi dariya tale aaindagan ka shahr hai
aatishin lab se agar pani ka dhaara phunk dun


ek fawware ke gesu ek chaubare ki aankh
chashm-e-nazzara jala kar har ishaara phunk dun
qalb se uthti hui shakh-e-tamawwuj hukm de
kya tanaffus ke sharar se bagh sara phunk dun


18399 viewsghazalEnglish